Saturday, March 7, 2009

Mein na Hindu na Musalman ……

Mein na hindu na muslaman ….mera upar wala ek hain …. 

Mein prathana karu ya namaz par mera irada neek hain … 

Kya fark hain mujhmein aur auroon mein …..sirf hamare naam aneek hain … 

Fiza wahi Ghata wahi ...neer nabh ehsaas wahi 

Chot lagne par mujhe bhi dard hota hain …aurroon ko bhi…. 

Choti choti bataon par mujhe bhi khushi hoti hain auroon ko bhi ….Fir kyuu hamare dharm annek hain …..

 Hey uper wale …tune aankh kan naak sab ek diya …soch kyu nahi…

 Kyu  tune dharm jati …samaj ..ke bandhan banaye ..aaj bhi mein hairan hun ….teri nazar mein to sab ek hain …..Aur yadi tum hi ek nahi alag alag ho .. …to.kya tumhare vicharo mein bhi hamare jaise matbhed hain …… 

Tujhe sab mante hain ….tere bataye raste par sab chalte hain …lekin tune kabhi ye nahi kaha ..ki tu hindu ya musalman …..fir kyu ham aaise raste par chal pade hain ……Ya to tera bas nahi iss jahan par……… ya insaan ne tujhe galat samajh liya …… 

Kyu ham samaj gaon kasba ….jati ..dharm par aakar ruk jate hain …kyu ham sab iska istmall apne bhale ke liye karte hain ….jo raaj kar raha hain iss dharti par ..vohi in sab par khelta hain ……kya tune bhi apna dimaag hamari tarah band kar liya ..hain …aur nahi …to kya chahte ho iss duniya se …..…..aaj jab mein iss dharti ko dekhta hun to mujhe bahut dukh hota hain …aur mein yadi tera banaya prani hun to tujhe bhi hota hoga  ..kya tu bhi hamari tarah bebas aur bechara hain …..

aur yadi  nahi  to tujh mein astha banaye rakhne wale logon ko kuch to jawab dena hoga..ya toh hame itni samajhdari do ki ham ..dharm ..jati samaj ke upper uth kar soch paye ..

ya toh apna naam hamare dimaag se mita do ……

ya toh tumhare naam par jo insaniyaat ko mita rahe hain unhe mita do ….. 

Aur yadi aaisa sochne mein meri koi khata hain …to beshaq ….mujhe saza do…. 


I am not an atheist …I am not a cynic but I do believe in one almighty that is within me ..he may be  Bhagvan ..Allah . or GOD but he is one ….and he will treat me in the way I want him to ….